Leader और Leadership Qualities क्या है ?

 
aaj ham kahi bhi chale jaye har jagah dimand hoti hai us fild ke leader ki , jisme leadership qualities  ho.kyoki aaj ki duniya me lakho karodo log follower banne ko taiyar hai. Bas jarurat hai hame apne andar leadership quality paida karne ki.
 
Ab hamare man me sawal yahi aata hai ki ” what is leader ? ”
aur ” what is leadership quality ?’ to aaj mai aapko unhi qualities ke bare me batne ja raha hu jinko follow karke har koi leader ban sakta hai , chahe vah marketing leader ho ya team leader ya aur koi leader.
 

leadership in hindi, what is leader, qualities of leaders, how to be a leader.

definition of leader

” A leader is one who influences or leads others.”
 

What Is Leader And Leadership Qualities

real me leader kya hota hai aur leadership qualities kya kya hai yah bahut hi vyapak vishay hai par fir bhi mujhe lagta hai ki wastav me real leader vahi hai jisme leader ki niche di gai qualities hoti hai.
  • L   –   Lead By Example

  • E   –   Enthusiastic 

  • A   –  Ambitious 

  • D   –  Determine

  • E   –  Encourage Others

  • R   –  Ready To Learn and teach.

 

 

1 . Lead By Example( khud kar ke dikhana.)

 leader ki sabse main quality hoti hai ki leader us kaam ko khud karne ke bad hi logo ko us kaam ke liye lead karta hai. jyada tar log lead karne me isi karan se fail ho jate hai ki unhone khud vah kaam kiya nahi hai aur dusro ko us kaam ke liye lead karte hai.

agar aap kisi ko kisi kaam ke liye liye lead kar rahe hai aur vah kaam aap ne khud ne nahi kiya hai to pahle us kaam ko khud karke dekhe , tabhi ja kar aap us kaam me kisi ko sahi tarike se lead kar payenge.

 

2 . Enthusiastic ( Utshahit rahne )

leader ki dusri main quality hoti hai ki vah hamesh hi ushahit rahta hai.utshah ke shath ki gayi shuruat hi hume aadhi safalta dila deti hai . Agar aap khud kisi kaam ko lekar utshahit hai to vah utsah aapki puri team me dikhega aur tabhi log aapko follow karenge.

 

3 . Ambitious ( Mahtvakanshi )

ek leader hamesha hi mahatvakanshi ( Ambitious ) hota hai.uske andar kuch paane ki ichha hoti hai. jisme apne laksya ko paane ki ichha naa ho vah kabhi bhi leader nahi ban sakta.

 

4 . Determine ( Akagrata )

leader ke andar sabse khas baat hoti hai ki vah apne laksya ko lekar Akagra ( Determine ) hota hai. jo aadmi baar baar apna laksya badalta rahta hai vah kabhi bhi leader nahi ban paata.

 

5 . Encourage Others ( Dusro ko Protshahit Karna )

Yah quality ek leader ke andar sabse jyada hoti hai . vah janta hai ki koi bhi bada laksya akele hasil nahi kiya ja sakta. aur har ek vyakti me Quality hoti hai,bas us quality ko bahar nikalne ki jarurat hoti hai isliye vah hamesha dusro ko protshahit karta rahta hai.

 

6 . Ready To Learn And Teach( Sikhne aur sikhane ko taiyar )

jis vyakti me yah quality nahi hoti hai vah kabhi bhi ek leader nahi ban pata hai. kyoki ek leader ke pass bahut sara knowledge hota hai jo sikhne se hi aaya hai. ek leader hamesha har jagah se kuch na kuch sikhta hi rahta hai , agar vah kisi kaam me fail bhi ho gaya hai to us failure se kuch na kuch sikhta jarur hai.
Sath hi sath apne arjit jyan ko dusro ko bhi deta hai , kaha jata hai ki bantne se gyan badta hai isliye ek leader hamesh apna knowladge dusro ko bantta hai aur dusro ko sikhane ke liye ready rahta hai.

 

is tarah yah 6 quality jo bhi apne andar paida kar leta hai vah ek achha leader ban jata hai.


यह Article अगर आपको पसंद आया है तो like करेँ और ज्यादा से ज्यादा लोगोँ को share करेँ और comments करें। ताकि positivity सभी लोगो तक पहुच पाए। अगर आपके पास कोई अच्छी story, article या  फिर कोई useful नॉलेज हो तो जरुर share करेँ , उसे हम आपके नाम और फोटो के साथ publish करेंगे। हमारा e-mail id- moralmantra@gmail.com है। 

33 Comments
  • Add a Comment

    Your email address will not be published. Required fields are marked *

    This site uses Akismet to reduce spam. Learn how your comment data is processed.

    error: Content is protected !!